Saturday, October 31, 2009
....Saanware rang raachi .. Nit baat niharu main shyaam tumhari...Haan Haan ye raat ujiyaari..Anhad naad jaap hai mera.. Behti aankhon ka hai ka-jal..syaah sringaar tumhe rijhaane ko...Kahao to zara kab aaogey??
Nyochawar hai Tan Man Pran tum par-Nahin jo aaye,nisthur kanha tum kehlaaogey,
Praano ke adhar ho tum,mere premawataar ho tum,kya megh ke aane par aaoge?
Mayur jo de saath,us nritya par saaz sazaaoge?Murli bajakar usey rijhaaogey..bhent karey wo jo pankh tumhe fir...usey shirodharyaa kar ...vipin vilasi kehlaaogey..Kaho zara kab aaogey?
Gopiyon ko naach nachate ho,Purn chandrama ki ujali raat main,kramika nritya kar tum raas bihaari to kehlaaoge..Naa aaye meri pukar pe jo tum kanha..Tum virahan ko jaalogey..Kaho na kanha kab aaogey?
Dau bhaiya ki pukar pe thumak ke jo aate ho,Nand baba ki dhenu chara
Dhenu charaiya bhi kehlate ho
Vasudev,devki ke sahare
Tum,maa yashoda ke kehlate ho
Us kaali yamuna ko chukar tum uska bhi maan barate ho..
Is nirjiv ki sajeev pukar pe kab aaogey,kaho na Manohar kab aaoge?
Khoju chaunh or tumhe.. Ye aankhen ab pathrai ..
Kab Doge daras prabhu..ye raat fir gehrai..
Mujhme base ho tum girdhar..
kabir ne to kaha tha- khoji ho to turat hi milahi hou pal bhar ki talaash main..
Meera ne bhi bhaja tha..wo rahi tuhari aas main
.............maya ka tana bana bahut bun liya Hari
nirvan ka pal jo mera hoga . Jab tum aaogey..Kaho na Mohan kab aaoge??
Baatein!!!
ye baatein..
ghari do ghari bhar ki baatein banti kabhy
Kabhy raat se subah ke faasle mitati baatein
suabh ke sooraj ke saath ugati kabhy,saanjh ke saath dhalti ye baatein
Dopahri main banti kabhy,to kabhi raat ki chadar banti ye baatein
Har waqt hoti ye baatein............
Ye koi jaane na.kaise kisi ko azzez banati baatein
kabhy dukh ka,kabhy sukoon ka sabab banti baatein
Kisso ki kahaniyo ki Baatein,afsano ki baatein
Rijhaati lubhaati baatein ,ban jaati hai jab banta hai koi apna
kabhy banate hai hum ye itlaathi baatein
Ye aasama dharti ki baatein, Ye raasto manzilo ki baatein..
kabhy manzil se bandhti baatein ,kabhy faasle badati baatein..
Chuppi ke virah ko barati baatein,Saaz si sajti baatein
andhere se larta koi ,ujale se karta hai,baaton ke safar ko poora karta hai
saheliyon ki khilkhilati baatein,toh kabhy premiyo ke khwaabo khayalo ki baatein
dosto ke umang utsah ki baatein,Kabhy kisi virhan ka dukh baant'ti baatein
Kabhy mohan meera ki baatein, Kabhy saadhu santo ki baatein
Desh prem se sarabor kabhy, to kabhy vidroh ki baatein,
sannate ki, toh kabhy cheetkarti baatein
chahat to hoti kabhy,nafrat ke pyale bharti kabhy ye baatein
Har haar ki,har dilaase ki ye baatein........bhooli bisari kabhy,kabhy yaad karati ye baatein.
paharo si unchi kabhy,saagar si gehri ye baatein
neele ambar ki kabhy,kabhy kaale megh ki baatein,
gali nukkad pe milti,ghardwar main sajti kabhy baatein,
baithak ki shaan kabhy,andheri kothri ki baatein
haat main hoti kabhy,thakurdware ki baatein
Har jagah bas baatein hi baatein................
gehri baatein,satahi baatein .. Baaton ki hai duniya saari ..
Baaton se hi chakraviyuh banta hai ..
Karaar dilati baatein , bekraar karti baatein ..
Shabdo ka hai khel saara,bhaawnao ka mel karati baatein...
Ye batiyaati baatein!

Subscribe to:
Posts (Atom)