Saturday, October 31, 2009

Baatein!!!

ye baatein..
ghari do ghari bhar ki baatein banti kabhy
Kabhy raat se subah ke faasle mitati baatein
suabh ke sooraj ke saath ugati kabhy,saanjh ke saath dhalti ye baatein
Dopahri main banti kabhy,to kabhi raat ki chadar banti ye baatein
Har waqt hoti ye baatein............
Ye koi jaane na.kaise kisi ko azzez banati baatein
kabhy dukh ka,kabhy sukoon ka sabab banti baatein
Kisso ki kahaniyo ki Baatein,afsano ki baatein
Rijhaati lubhaati baatein ,ban jaati hai jab banta hai koi apna
kabhy banate hai hum ye itlaathi baatein
Ye aasama dharti ki baatein, Ye raasto manzilo ki baatein..
kabhy manzil se bandhti baatein ,kabhy faasle badati baatein..
Chuppi ke virah ko barati baatein,Saaz si sajti baatein
andhere se larta koi ,ujale se karta hai,baaton ke safar ko poora karta hai
saheliyon ki khilkhilati baatein,toh kabhy premiyo ke khwaabo khayalo ki baatein
dosto ke umang utsah ki baatein,Kabhy kisi virhan ka dukh baant'ti baatein
Kabhy mohan meera ki baatein, Kabhy saadhu santo ki baatein
Desh prem se sarabor kabhy, to kabhy vidroh ki baatein,
sannate ki, toh kabhy cheetkarti baatein
chahat to hoti kabhy,nafrat ke pyale bharti kabhy ye baatein
Har haar ki,har dilaase ki ye baatein........bhooli bisari kabhy,kabhy yaad karati ye baatein.
paharo si unchi kabhy,saagar si gehri ye baatein
neele ambar ki kabhy,kabhy kaale megh ki baatein,
gali nukkad pe milti,ghardwar main sajti kabhy baatein,
baithak ki shaan kabhy,andheri kothri ki baatein
haat main hoti kabhy,thakurdware ki baatein
Har jagah bas baatein hi baatein................



gehri baatein,satahi baatein .. Baaton ki hai duniya saari ..
Baaton se hi chakraviyuh banta hai ..
Karaar dilati baatein , bekraar karti baatein ..
Shabdo ka hai khel saara,bhaawnao ka mel karati baatein...

Ye batiyaati baatein!

3 comments:

  1. what a beautiful poem, particularlty like Kabhy raat se subah ke faasle mitati baatein

    does sound of the calibre of Prasoon Joshi !!!
    Cheers

    ReplyDelete
  2. Kabhie Karaar dilaathi baate, Bekaraar karthi bataein main bhi thats the insight that Airtel has used for its campaign Baat karne se hi baat banthi hai................

    Shyamal Kumar V

    ReplyDelete
  3. Waqt ki rooh kuch is tarah azaad hai

    Ki qaid karna bhi isse gair-zaruri hai

    Ret ke zarron ki tarah haathon se ruksat ho jaati hai

    Is maazi ki pakeezgi mein bhi Khuda ki manzuri hai...


    wow ur writing is still great..hats off

    ReplyDelete