yun hi... aj fir shiddat se wo yaad aaya....
jisey bhoolne ko yaadon se chupti rahi main- wahi yaad aaya..
chupne chupane ki is jung main.. wo humesha hi jeet-ta aaya...
tanha raat ho ya khamosh shaam... uske aane ki aahat se gulzar hoti thi sada..
wahi aj in sannato ko laaya...
... neele asmaan ka aks ab nahi dikhayi deta... bus door tak faili ek syah rat hai roshan...
khamoshi ka hai saaya ..aur yaadon ka sarmaaya... yun hi kat jaayegi ye raatein dher..
yaadon ki reh jaayegi jindagi- yahi yaadein.. nayi purani!!
Saturday, March 21, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Hmm nice thought ... but i wonder for whom..!!!
ReplyDeleteYaadein hoti hain os ki boondon ki tarah,
ReplyDeletekitaabon mein qaid sookhe phoolon ki tarah,
chattaanon se takraati saagar ki lehron ki tarah.
yeh yaadein humein hasaati hain,rulaati hain.
aur yahi hain jo humein zindagi jeena sikhaati hain
Tumse badi kab se tumhari yaaden ho gayee !
ReplyDeleteTum woh ho jisko yaad karke kitne hi yugon ne apna mukaddar sanwara hai !!
Kis andhere ki baat kar baithi meri nanhi dost !
Suraj ki roshani tumhara hi sarmayaa hai !!