Wednesday, April 29, 2009

Faces!

Chehre- jaane anjaaane se...

Chehre...kuch ajnabee,kuch pehchaane se..

Chehre hi kuch ki pehchaan hai.

Lag gaya hai haat sa- chehre hi yahan ab dukaan hai..

Ameer pita ka chehra uske bete ki shaan hai..

Gareeb pita ka chehraa khota apni santaan hai..

Koi pita ka chehraa khota uski pehchaan hai...

Le jaao koi nakli muskuraahat wala chehra..

Sneh ki aankhon se mehroom chehre is haat ki pehchaan hai!!

5 comments:

  1. Le jaao koi nakli muskuraahat wala chehra..
    Sneh ki aankhon se mehroom chehre is haat ki pehchaan hai!!
    Shveta Ji,
    Apane kavita to bahut achchhii aur aaj ke samaya ke yatharth ko pratibimbit karatee hui likhi hai...lekin itnee achchhee kavita theek se padhane men nahiin aa rahee hai.apanee post ke font kaa colour light kariye.
    doosaree bat hindi kee kavita Roman men...ise devnagaree men karne men kya dikkat ho rahii hai?
    shubhkamnaon ke saath .
    HemantKumar

    ReplyDelete
  2. bahut acchi kavita hai

    http://bharatclick.com

    ReplyDelete
  3. Kya chehra pehchana hai.......bahut badiya.........Ajit

    ReplyDelete
  4. Awesome stuff!!! Didn't realize u were so creative...regretting not ever meeting you.

    Ashok

    ReplyDelete